Saturday, August 22, 2026

উর্দু সংগীত


 Urdu Song || Imrul Kayes

Dil me basa hai noor-e-Khuda
Lab par hai naam-ya Mustafa
Har so teri rehmat ya Rab
Tu hi hai mera aasra…
Tarik shabon me tu hi sehar
Bechain dilon ka tu hi qarar
Toote hue dil ki har dhadkan
Kehti hai tera naam ya Ghaffar
Ya Allah, Ya Allah, tu hi mera sahara hai
Duniya bhi teri, uqba bhi teri,
Tu hi hamara pyara hai…
 
Dar par tere jo sar jhuk jaaye
Oh dil kabhi na hara hai
Ya Allah, Ya Allah, tu hi mera sahara hai
Gunahon ke bojh se jhuk jaaye sar
Rehmat teri phir bhi rehti hai
Ishkon ki zaban jab bol uthe
Rehmat ki ghata phir barasti hai…
 
Muhammad ka zikr ho lab par
Dil ishq-e-Nabi se roshan ho
Sunnat ki khushboo saath rahe
Har saans Madine ki dhadkan ho
Ya Allah, Ya Allah, tu hi mera sahara hai
Duniya bhi teri, uqba bhi teri,
Tu hi hamara pyara hai…
 
Dar par tere jo sar jhuk jaaye
Oh dil kabhi na hara hai
Ya Allah, Ya Allah, tu hi mera sahara hai
Na maalik ki khwahish, na takht-o-taaj
Bas dil me eiman ataa kar de
Jo raah teri hai is raah pe chaloon
Aisa mujhe insaan bana de…
 
Mahshar ke din jab koi na ho
Jab sabka amal meezan me ho
Tab saaya-e-rehmat me rakhna
Dil tere hi Quran me ho
Ae Rab-e-Kareem, ae Rab-e-Raheem
Hum par teri rehmat aam rahe
Lab par darood-e-paak rahe
Dil me tera hi naam rahe…
 
Dil me basa hai noor-e-Khuda
Lab par hai naam-e-Mustafa
Har so teri rehmat ya Rab
Tu hi hai mera aasra…


No comments: